Aaj Bantu bahut khush tha; hota bhi kyon nahin, aaj uska pahla din jo tha,
IT industry mein. Agle hi ghante uski mulakaat uske Lead se hoti hai.
Aayiye, Sunte hain IT ki kahani, Bantu ki Juwani
Hum tere project mein aaye hain, Fresher ki tarah – 2
Sirf ek baar Machine-e-Didaar ka mauka de de
Hum tere proj mein aaye hain, Fresher ki tarah - 2
**Aise hafte nikal jate hai, n Bantu ko System nahin milti. Phir se Bantu wapas
apne Lead ke paas jata hai…
Meri cubicle hai kahan, mera thikana hai kahan - 2
Saam tak tujhse jhagad kar mujhe jaana hai kahan
Likhne ke liye ek notepad ka mauka de de
Hum tere project mein baithe hain, Fresher ki tarah - 2
**Lead Bantu ki kich kich se Padesaan hokar jawaab deta hai...
Apni Aankhon mein chhupa rakhe hain setting maine
Apni palko pe saja rakhe hain rating maine
Meri aakhon ko barsaat ka ek mauka de de
Hum tujhe jhel rahe hain... Fresher ki tarah - 2
** Duniya ki har katu satya ki tarah dono ke Rishte mein Daraar aa jati hai aur Lead Usse Night-Shift mein daal deta hai.
Bantu Duniya se kat jata hai... aur Gulabbo uski kaaat jaati hai.
Duniya se hataash hokar aakhiri baar Lead se Guhaar lagata hai…
Aaj ki shift mera Neend-e-Jaroorat sun le - 2
Ladkhadate huye Aankhon ki shikaayat sun le
Aaj Shukun-e-Khayalaat ka mauka de de
Sirf ek baar Gulabbo se milne ka mauka de de
Hum tere proj mein ab bhi hain... Fresher ki tarah – 2
** Phir bhi jab Lead ka Sitam-e-Junoon hadd paar kar jaati hai...
to Bantu ki frustration resignation mein badal jaati hai
As expected, project ki watt lag jati ha... phir Lead Frustu hoke reply karta hai
Chhorna tha to yeh, proj liya hi kyon tha
Bantu tune mujhe, Lead chuna hi kyon tha
Sirf do-char sawalaat ka mauka de de
Kam se kam yeh to bata ... phir se jaayega kahan...
Lead - Sirf ek baar ek Laat ka mauka de de.
Bantu - Hum tere proj mein aaye the Fresher ki tarah
Bantu - Hum tere proj mein baithe rahe Fresher ki tarah
**Resignation ke baad Bantu hi nahin sab yehin sochta hai ki aaj ke baad ess Manhoos ke Kadam ki Aahat bhi na sunayi degi... n Finally Apni bharas nikal deta hai
Tere fitrat se umeed kabhi thi hi nahin jaalim - 2
Teri jaat ko samajhna hamen gawara nahin
Chahe Sitam kar le hamaare Jazba-e-junoon pe kitni
Hamare maqsood ko samajhna tumhe gawara nahin
उद्घोसना: ऊपर लिखे गए विचार की सारी घटनाएं तथा पात्र काल्पनिक है. किसी भी जीवित जंतु से समानता पूरी तरह से संयोग है. इससे, किसी भी रूप में हुए हानि के जिम्मेदार हम नहीं होंगे.